ChatGPT aur Claude screen ke andar rehte hain. Physical AI asli duniya mein chalta, dekhta aur kaam karta hai.
Woh AI jo asli duniya ko mehsoos karta hai, us par sochta hai, aur phir khud kuch karta hai: chalna, uthana, gaari chalana, ya udna.
Digital AI: text, tasveer ya code banata hai. Ghalti ho to sirf ghalat jawab.
Physical AI: cheezein hilaata hai. Ghalti ho to cheez toot sakti hai ya kisi ko chot lag sakti hai. Is liye safety bohat zaroori hai.
Har Physical AI system yeh 3 kaam baar baar, ek second mein dazanon dafa karta hai.
Camera, distance sensor, LiDAR, mic, temperature sensor. Yeh robot ki aankhein aur kaan hain.
Computer data ko samajhta hai: "Saamne deewar hai, 20 cm door." Phir faisla karta hai.
Motors, wheels, servo, robotic arm. Faisle ko asli harkat mein badalte hain.
Yeh robot ek distance sensor se saamne dekhta hai. Aap uska rule set karo: kitni doori par mud jaye? Phir Chalao dabao.
Tajurba karo: rule 10 rakho aur dekho kya hota hai. Phir 120 rakho. Kaunsa behtar hai, aur kyun?
Camera aur LiDAR se sadak, signal aur pedestrian dekhti hain, aur khud steering aur brake chalaati hain.
Fasal ki tasveer le kar bimaar paudhe pehchante hain aur sirf wahan spray karte hain. Pani aur dawai dono bachte hain.
Online order ke parcel dhoondte, uthaate aur packing tak le jaate hain, bina thake.
Insaan jaisi shakal ke robot jo seedhiyan chadhna, cheezein pakarna aur ghar ke kaam seekh rahe hain.
Doctor ke haath ko bohat steady aur chhoti harkat mein badal dete hain.
Kamre ka naqsha banata hai, furniture se bachta hai, aur battery kam ho to khud charger par chala jata hai.
1. Rules likh kar: jaise upar wali lab. Aasaan, lekin har situation ka rule likhna mushkil.
2. Examples dekh kar (Imitation Learning): insaan kaam kar ke dikhata hai, robot nakal karta hai.
3. Ghalti se seekh kar (Reinforcement Learning): sahi kaam par "reward", ghalat par "penalty". Bilkul cycle seekhne ki tarah: gir gir kar balance aata hai.
4. Simulation mein: asli robot tootne ka dar hai, is liye pehle computer ki virtual duniya (Digital Twin) mein lakhon dafa practice karwaate hain.
High school student ke liye, step by step. Har step par ek chhota project banao.
ai4kids.courses · Islamabad